Saturday, January 16, 2010

trilochan ke bahane ashk

aj bachon ke sath sahitya per batcheet chal rahi thi. asal me kal rat maine apne bete ruchir ko internet per kathadesh me prakashit rajesh ka trilochan ke sath ek sakchatkar padhane ko kaha tha. usne uska wachan kia tha. aj usi ke bahane ham log (patni girija, bete ruchir, beti sandhya, bhatije ambuj) nirala, mahadevi, rahul sankrityayn, galib samet anya kvion-lekhakon ke bare me bat ker rahe the. isi dauran bete ne upendra nath ashk ka jikra aya. maine bataya ki kaise ham log allahabad me chatra jeevan ke dauran parivesh sanstha ke baner tale her sal nirala jayanti manate the. lekin usi dauran mejhe yeh khayal aya ki wahi allahabad apne jeewant lekhak ashk ko kyon nahi yad karta. unhone bahut sari rachnae dee hain. mai kah sakta hu ki unhone pura jeevan sahitya ko samarpit kar dia tha. unki rachnaon ke bare me koi kuch bhi kah sakta hai lekin unke hindi sahitya ke prati samrpan ko bhulaya nahi ja sakta. kahna chahoonga ki abhi tak nahi kia to ab to yad karna hi chaie.

No comments: