Thursday, January 14, 2010

sanvedna

ise kya kahenge. samvedanheenta ya amanveeyata. jis rti ko hamara sabhya samaj badi kranti batate hue thak nahi raha hai, uske ek karyakarta ki hatya ker di jati hai aur ek apne ko padha-likha samjhdar kahne wala vyakti apne sahyogi se rat ke ek baje sarvajnik roop se besharm ki tarah kahta hai ki are vah satish shetty mar dia gya. tum jante nahi, vahi jo baderpur me rahta hai. he he he he . dhyan dene ki bat hai ki shree shetty ne kai jameen ghotalon ke bare me rti ka darwaja khatkhaya tha. ham kuch nahi kah rahe siway iske ki jara sochie ham kaise samaj me rah rahe hain.

1 comment:

वर्षा said...

सिस्टम कभी नहीं बदलेगा, सिस्टम को बदलनेवाला ही बदलता है...ख़ैर...कविताएं बहुत अच्छी लगी...बोलने की आज़ादी और भीड़ को चीरती लड़की ख़ासतौर पर।