Saturday, January 16, 2010

bagal me hona

jara sochie us jagah ke bare me
jo kisi tarah apko bhatee na ho
un logon kebare me sochie
jo lagatar apke bagal me baithte hon
aur jinki ek bhi harkat
ya ek bhi bat na suhati ho apko
jo lagatar karte rahte hon anargal pralap
jinka kuch bhi nahi hota apna
jo hamesha karte rahte hain
apne aka ki chatukarita
jinhen kisi ke marne per nahi hota dukh
na kisi ke paida hone per hoti hai khushi
jo na kabhi haste hain na kabhi rote hain
jo na kabhi gussa hote hain
na kabhi naraj hote hain
kaha jae ki hamesha rahte hain nirvikar
jara sochie aise damghotu mahaul ke bare me
agar iske bad bhi koi kahega
ki isme bura kya hai
to main sochuga
aisa sawal karne wala bhi
un logon se bhinna nahi hai
jo mere bagal me baithte hain
aur ant me
her kasht asahneeya hota hai
per usse bhi jyada asahneeya
hota hai ek moorkh ka bagal me hona.

No comments: