Friday, January 8, 2010

ek aur kavita

kaise milega nyay

wah kar chalata tha
lekin kar ka malik nahi tha
wah matra chalak tha
isile karrwai usi per hui
us per nahi jisne use de thi
ma-bahan ki galian
aur dekh lene ki dhamki
uska dosh sirf itna tha ki
usne kar wahan le jane me
vyakta ker di thi asmarthta
jaha tak kar ja hi nahi sakti thi
aur bad me usne kar di thi
uski shikayat jisne use di thi galian
asal me use yah pata hi nahi tha ki
wah jis admi ko uske darwaje tak
nahi pahucha pa raha tha
wah koi aam admi nahi tha
tha us sanstha ke bade adhikari ka karibi rishtedar
jiske admi ko use ghar tak chodne ki jimmedari
tabhi to us bade adhikari ne
kisi anya saopne ke bajay
khud hi ban gaya janch adhikari
aur chala gaya shikayat ki janch karne
na kisi gavah ko suna na sakchya jutya
itna hi nahi faisla bhi turant suna dia
ki chalak ko karya mukt kar dia jae
aur naya chalak admi ke darwaje tak le jaega kar
aur phir ghar ke bheetar bhi pravesh karaega
yah wahi bada adhikari hai
jo kisi bhi shikayt ko karta rahta hai ansuna
is bar to uske adami ki ho gai thi shikayat
uske lie to kuch karna hi tha
jara sochie kisi am admi ko
kaise milega nyay

No comments: