Sunday, January 17, 2010
shradhanjli
makpa neta jyoti basu bahut mahan the. unke bare me kuch bhi kahne ki himmat mujhme nahi honi chahie. iske bavjood main apne ko rok nahi pa raha hoon. dophar 12 baje ke kareeb maine tv ka rimot yah kahte hue uthaya tha ki lao dekhen desh ka kya hal hai. tv on hote hi dukh se bhare makapa ke varishtha neta viman bose aate dikhai die tabhi mere muh se nikla lagta hai jyoti babu nahi rahe. iske sath hi unhone yeh dukhad khabaer sunai ki jyoti basu ab hamare beech nahi rahe aur apne ko rone se rok na sake. koi bhi shriday admi is khaber ke bad dravit hue bina nahi rah sakta chahe wah kitna hi kamunist virodhi kyon na ho. jyoti basu ki jitni bhi visheshtayen hain unme se sabse badi yeh thi ki wah sab ke pria the. rajneetik virodh ke bavjood atal bihari vajpai, mamta banarji aur sidharth shanker rai ke bhi. isi beech mere dimag me ek bat aai ki kya basu bhi vajpei ki tarah sarvpria neta rahe. vajpei ke bare me aamtaur per kaha jata hai ki wah sanghi hone ke baojood sabhi ko achche lagte hain. mujhe yeh bat kabhi samajh me nahi aai ki sangh aur uski vichardhara ko bhagwan manne wala vyakti kaise sabhi ka pria ho sakta hai. yeh vajpei hi hain jinhone godhra dango ke dauran gujrat sarkar aur waha ke apni party ke mukhyamantri narendra modi ke khilaf kuch nahi kia siway unki alochana karne ke. usi tarah basu ko leker bhi leker bhi mere man me sawal uthta raha hai. ek kamunist kisi pujipati ko kaise achcha lagega. mai jab chota tha aur kuch janne samjhne laik ho raha tha tab sunta tha ki her gaon se ek na ek admi kolkata kamane ke lie jata tha. jahir hai tab waha factaria aur udyog rahe honge. ab waha aisa kuch nahi hai. yeh wahi 23-30 sal hain jab waha ke mukhyamantri jyoti basu rahe ya unki parti ke budhdev bhattacharya. kamunist partia andolan aur sajwad ke lie jani jati jati hain. mujhe yad ata ki is dauran pashchim bangal me makpa ne koi janandolan chalaya ho, naksalwadion ki hatyaen jaroor karai. bhale hi wah sidharth shanker rai ki tarah na karai ho. yeh naksli usi bhakpa ke tute hue log the jis bhakpa ke tute hue logo me makpai the. yeh sansdia rajneeti aur sashtra sangharsh ko leker vivad tha jo abhi kamunisto me chal raha hai. aise me nakslio ko dushman kaise mana ja sakta hai. sansdia rajneeti ki wakalat karne wale aur rajya me sarkar banane wale kendra me sarkar banane se kyo katrate hai. shesh age fir
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment