kavita 2
jo sistem ki bat karte hain
vo understanding ko mante hain
darasal poora sistem hi understanding hai
understanding is bat kee ki
kaise apnon ko vah sab karne ki choot di jae
jo anaytik hai, jo sistem ko todta hai, aur fir
kaise upnon ke har aise pap ko sanrakchit kia jae
darasal yahi sistem hota hai
ab kahne ke lie chahe jitni adarsh ki baten kahi jaen
islie kisi ko is mugalte me nahi rahna chahie
ki sistem aam logon ke lie hota hai
sistem to bas khas logon ke lie hi hota hai
aur khas logon ki anaytiktaon ko chipane ke lie hota hai
isilie to sistem banane wale aur uski rakcha karne wale
apne hit me uska upyog karte hain
aur jiske lie sistem banta hai
wah to keval bhugtane ko majboor hota hai
Saturday, January 2, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment