Wednesday, December 30, 2009

kavita 1

bheed ko cheerti ladaki
abhi-abhi bheed ko cheerti hui jo ladki nikli hai
jeens pahne aur mobile per bat karte hue
khatron ko khabrdar karte hue
use ankhe fadker mat dekho
use uchrinkhal ya arajak mat kaho
us per aisi koi tippni mat karo
jo tej chalti ladkion per ki jati rahi hain
kyonki use shayd nahi raha
ab bandhnon me rahna swikar
isilie ab wah nahi karti bandhan swikar
uske is hausle ki dad deni chahie
uska swagat kia jana chahie

Monday, December 28, 2009

manvta

har koi ek bar fir nae sal ko lekar utsahit hai. hona bhi chahie. par jara sochie jis tarah ham yeh sal bita rahe hain agar ane wala sal bhi isi tarah ka hoga to kis bat per khush hone ki jaroorat hai. delhi criket bord aur uske sarveserva arun jetli ne janleva kotla ki pich per bharat- shrilanka ke khiladion ko utar ker jitna khatarnak khel khela usse poori dunia me desh ka sharmshar hona pada. desh ke ek rajya ke 87 sal ka rajyapal sex scandel me fas gaya ho. ek nabalig ladaki ke sath chedkhani ke (ladki ne bad me atmhatya kar li thi) aropi varishtha police adhikari ko 19 sal ke bad matra kuch mahine ki saja ho aur pata chale ki us adhikari ne pidit ladki ke bhai ko usne jel tak bhijwa dia ho, cbi adhikari ki report ko badalwa dia ho, mukhyamantri ne us adhikari ko bachane ki koshish ki ho aur ab bhi pidit ke pita ko apni jan ka khatra ho. jara sochie ham kaise samaj me rah rahe hain. bahut jor-shor se suchita aur sushan ki bat karne wali bhajpa ek aise vyakti ko mukhyamantri bana rahi hai jo kai mamlon me dagi hai aur jise kendra sarkar me mantri pad se hatane ke lie kai dinon tak sansad nahi chalne di thi. yeh vahi rajya hai jaha ke poorva mukhyamantri madhu koda ne bhrashtachar ka rikard banaya hai. yah sab dekhte hue sudarshan ki kahani baba bharti ka ghoda yad ati hai jisme baba bharti ne us dakait se apeel ki thi jo uska sabse priya bhoda chal karke leker chala jata hai, kahta hi yah bat kisi se batana mat nahi to log kisi per vishwas nahi karenge. mera bhi yahi kahna hai ki manvta ko sharmshar mat karo.

Sunday, December 27, 2009

desh kia chalaenge

kotla ke maidan par ho raha bharat-shrilanka ke beech criket maich pich ki kharabi ke karan radda kar dia gaia . isko lekar bahut sari badi-badi baten ki ja rahi hain . sambhav hai kuch kade faisle bhi le lie jain lekin mere dimag me dusra sawal uth raha hai. wo yah ki pura sistem kis tarah kam karta hai. is ghatna se yeh saf hai ki baten chahe jitni khel bhawna ki jaen lekin kam iske theek vipreet hi kie jate hain. jara sochie is itne bade kalank ke lie wah arun jetli jimmedar hain jo us bhartia janta parti ke varishtha neta hain jo suchita aur rashtra bhakti ki baten karti hai. inhen khel aur khiladion ki koi chinta rahi. jara sochie agar inhen desh chalane ka jimma mil jaega to eh kia karaige.

Saturday, December 26, 2009

kavta

ek kavita
bolne ki azadi
unhe kisi ka bolna acha nahi lagta
balki kahen ki unhe kisi ke bolne se dar lagta hai
isilie wah chahte hain ki koi kuch na bole
lekin we bhool jate hain ki abhi to log bol hi rahe hain
jab log chup ho jainge tab jo kuch karenge
wah bolne se kahin jiada khatarnak hoga
bolne wale ko to chup karaia ja sakta hai
lekin karne wale ko karoge
jahir hai uska kuch nahi kar paoge
islie bolne ki azadi cheenne ki koshish mat karo
varna tumhari azadi chinne ka khatra badh jaega

Tuesday, December 15, 2009

कल गोरख पांडे की एक आडियो सीडी के माधिअम से उनके कुछ गीत और कुछ कविताएँ सुनने को मिलींअछा लगा लेकिन एक बात खलीउन्हें जिस तरह प्रस्तुत किया गया उससे उन गीतों का वास्तविक प्रभाव जाता रहालगता रहा जैसे लड़ाई के समय गाए जाने वाले गीत को मंगल गीत की तरह गाया गया होकितना अच्छा होता अगर इसका ख्याल रखा गया होताफ़िर भी इसके लिए सीडी बनने वाले बधाई के पात्र हैं